Ab kay youn bhi teri zulfon ki shikan tooti hai
Rang phootay kahin khushboo ki rasan tooti hai
Mout aayi hai keh taskeen ki Saa'at aayi
Saans tooti hai keh sadiyon ki thakan tooti hai
Dil shakista to kai baar huway thay lakin
Ab kay youn hai keh her ik shaakh-e-badan tooti hai
Itni be'rabt mohabbat bhi kahan thi apni
Darmiyaan se kahin zanjeer-e-sukhan tooti hai
Silsala tujh se bicharnay ka kahan khatam huwa
Ek zamanay se raah-o-rasm-e-kuhaan tooti hai
Meray yaaron kay tabasum ki kiran maqtal main
Nok-e-neza ki tarah zair-e-kafan tooti hai
Reza reza main bikharta gaya her su "Mohsin"
Sheesha sheesha meri sangeeni-e-fun tooti hai
No comments:
Post a Comment