Mar 27, 2015

Ajnabi shaam , Dhund chaai hui hai jheelon par


Ajnabi shaam 

Dhund chaai hui hai jheelon par 
Urr rahay hain parinday teelon par
Sab ka rukh hai nashemano ki taraf
Bastiyon ki taraf , bano ki taraf

Apnay gal'lon ko le kar charwahay
Sarhadi bastiyon main ja ponchay
Dil-e-na'kaam ! main kahan jaaon ?
Ajnabi shaam ! main kahan jaaon 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...