Mar 21, 2015

Akelay chor jatay ho , yeh tum acha nahin kartay


Akelay chor jatay ho , yeh tum acha nahin kartay 
Hamara dil jalatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Kaha bhi tha mohabbat hai mohabbat hi issay rakho 
Tamasha jo baantay ho yeh tum acha nahin kartay 

Utha'tay ho sar-e-mehfil falak tak tum hamein lakin 
Utha kar jo giraatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Koi jo pooch lay tum se keh rishta kiya hai ab un se 
To nazron ko jhukaatay ho yeh tum acha nahin kartay 

Bikhar jayein andheron main sahara tum hi detay ho 
Magar phir chor jatay ho yeh tum acha nahin kartay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...