Mar 15, 2015

Baarishon kay mousam main


Baarishon kay mousam main 
Waqat kay andheron main 
Main ne uss se poocha tha 
Chor to na jaao gay

Haath thaam kar uss ne 
Kaan main yeh bola tha 
Kaisay chor saktay ho 
Tum to jaan ho meri 

Aur aaj aisa hai 
Waqat ki tamazat main 
Wehshaton kay mousam main 
Main ne uss se poocha hai 

Chor kar hi jana tha 
Muskuraati galiyon main 
Aas kiyon dilaai thi 
Pyaas kiyon jagaai thi 

Meray in sawalon par 
Chaltay chaltay woh bola 
Mousam ki aadat hai 
Waqat par badal jana 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...