Mar 22, 2015

Be'kaif hain yeh sagar-o-meena teray baghair


Be'kaif hain yeh sagar-o-meena teray baghair 
Aasaan hua hai zehar ka peena teray baghair

Kya kya teray firaaq main ki hain mushaqtein 
Ik ho gaya hai khoon paseena teray baghair 

Jachta nahin koi nigahon main aaj kal 
Be-aks hai yeh deeda-e-beena teray baghair 

Kin kin bulandiyon ki tamana ki ishq main 
Teh ho saka na aik bhi zeena teray baghair 

Tu Aashna-e-shiddat-e-gham ho to kuch kahon 
Kitna bara azaab hai jeena teray baghair 

Saahil pe kitnay deeda-o-dil farsh-e-raah thay 
Utra na paar dil ka safeena teray baghair 

Baaqi kisi bhi cheez kay dil par asar nahin 
Pathar ka ho gaya hai yeh seena teray baghair

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...