Be'rabt husan-o-ishq yeh kaif-o-asar kahan
Thi zindagi aziz magar is qadar kahan
Teray baghair ronaq-o-dewaar-o-dar kahan
Shaam-o-sehar ka naam hai , shaam-o-sehar kahan
Kya jaaniye khayal kahan hai nazar kahan
Teri khabar kay baad khud apni khabar kahan
Maana keh mohtasib bhi bara ba'shaoor hai
Lakin ussay nazakat-e-gham ki khabar kahan
Kehnay ko ehal-e-ilm ki koi kami nahin
Lakin khud apni fikar , khud apni nazar kahan
Tark-e-taaluqat ko muddat guzar chuki
Zaalim ! teray khayal se phir bhi mufar kahan
Arsa hua keh rasm-o-mohabbat badal chuki
Daaman se woh muaamla-e-chasham-e-tar kahan
No comments:
Post a Comment