Bharri bahaar main ab kay ajeeb phool khilay
Na apnay zakham hi mehkay , na dil kay chaak silay
Kahan tak koi dhoonday musafiron ka suraagh
Bicharnay walon ko kya hai , milay milay , na milay
Ajeeb qehat ka mousam tha ab kay basti main
Kiye hain baanjh zameeno se baarishon ne gilay
YEh haadisa sar-e-saahil rula gaya mujh ko
Bhanwar main doobnay walon kay haath bhi na hilay
Sinaan ki nok, kabhi shaakh-e-daar par "Mohsin"
Sukhan waron ko milay hain mushaq'qaton kay silay
No comments:
Post a Comment