Mar 22, 2015

Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha ?


Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha ?
Tum ne ulfat ka yaqeen dilaya kiyon tha ?

Aik bhatkay huye raahi ho sahara de kar 
Jhooti manzil ka nishaan tum ne dikhaya kiyon tha

Khud hi toofan uthana tha mohabbat main agar 
Doobnay se meri kashti ko bachaya kiyon tha 

Jis ki tabeer ab ashkon kay siwa kuch bhi nahin 
Khwaab aisa meri aankhon ko dikhaya kiyon tha 

Apnay anjaam pe ab kiyon ho pashemaan pagal 
Aik be'dard se dil tum ne lagaya hi kiyon tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...