Mar 27, 2015

Bohat majbur hain hamdam na itna yaad aayo tum


Bohat majbur hain hamdam
Na itna yaad aoo tum
Na yun itna sataoo tum
keh itna yaad aa kr yun
hamen pagal bana k tum,
faqat itna bata do k,
hamari jaan lo ge kya?
magar ye bhi haqeeqat hai,
tuhmari yaad hi to hai,
jo har pal sath rehti hai,
khushi mein bhi,
ghamon mein bhi,
udasi k palon mein bhi,
tuhmari yaad hi to hai,
jo har pal ye batati hai,
mujhe ehsas dilati hai, K
hum TUM BIN adhure hain keh

HUM TUM SE HI POORY HAI

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...