Chalo kuch dair hanstay hain
Mohabbat par
Inayat par
Keh be'buniyaad baatein hain
Sabhi rishtay
Sabhi naatay
Zaroorat ki hain Ejaadein
KAhin koi nahin marta
Kisi kay wastay jana
Keh sab hai phair lafzon ka
Hai sara khail harfon ka
NA hai mehboob koi bhi
Sabhi jumlay se kastay hain
Chalo kuch dair hanstay hain
Jissay hum zindagi kehtay
Jissay hum shairy kehtay
Ghazal ka qaafia tha jo
Tha jo unwaan nazmon ka
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqat se aagay chalta tha
Bala ka tez lagta tha
Jo saya ban kay rehta tha
Juda ab us kay rastay hain
Chalo kuch dair rotay hain
Chalo kuch dair hanstay hain
No comments:
Post a Comment