Daman-e-gul main hi gulzaar bikhar jaatay hain
Aag bujhti hai to angaar bikhar jaatay hain
Shamma jalti hai sada ik hi lamhay main lakin
Jal kay parwanay kai baar bikhar jaatay hain
Jin ko insaan piroota hai bhout ulfat se
Haye woh gul sar-e-bazaar bikhar jaatay hain
Paaon uth'tay hain teray koochay ki janib jab bhi
Apni raahon main kai khaar bikhar jaatay hain
Raat kay pichlay pehar khoon-e-tamana ki tarah
Hum teri yaad main ae yaar bikhar jaatay hain
Ho ga andaaz-e-wafa un ka alag hi Mohsin
Jin ki raahon main talab'gaar bikhar jaatay hain
No comments:
Post a Comment