Mar 21, 2015

Dewaar par larza hai to dar kaamp raha hai


Dewaar par larza hai to dar kaamp raha hai 
Bichray ho to ujjra ghar kaamp raha hai 

Tum aankh ki putli main chupay sach ko bhi dekho 
Mujrim to nahin hai magar woh kaamp raha hai 

Veeran hai  is darja teray baad mera dil
Iss shaher main aatay huye darr kaamp raha hai 

Ik main keh judai ne mujhay kar diya sakhat 
Ik tu hai keh sadmay se udhar kaamp raha hai 

Aangan ko palat jaaon na main chor kay us ko 
Sehraa main mera khawaab-e-safar  kaamp raha hai 

Ya to meri beenai par khouf musallat hai 
Ya nehar kay pani main shajar bkaamp raha hai

Bujhnay nahin doon ga main kabhi hijar kay sadmay 
Dil main teri yaadon ka sharar kaamp raha hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...