Din ko mismaar huye raat ko tameer huye
Khwaab hi khwaab faqat rooh ki jageer huye
Umar bhar likhtay rahay phir bhi warq sada raha
Janay kya lafz thay jo hum se na tehreer huye
YEh alag dukh hai keh hain teray dukhon se azaad
Yeh alag qaid hai hum kiyon nahin zanjeer huye
Deeda-o-dil main teray aks ki tashkeel se hum
Dhool se phool huye rang se tasveer huye
Kuch nahin yaad keh shab-e-raqs ki mehfil main
Hum juda kis se huye kis se baghal-geer huye
No comments:
Post a Comment