Mar 20, 2015

Ek pal ko na raat so saka main


Ek pal ko na raat so saka main 
Uss khwaab ki aas main raha main 

Jab dheyaan main aa gaya woh chehra 
Sonay ki ba'jaye ro para main

Bas aik hi yaad main garifta 
Dil thaam kar apna reh gaya main 

Bas aik hi ranj se shakista 
Kiyon us se bhala juda hua main 

Bas ik kahyal dil pe taari
Woh jaagti, saath jaagta main 

Hota woh agar qareeb meray 
Phir choo kay bhi us ko dekhta main 

Khush baash rahay jiye sada woh
Par us se bichar kay mar gaya main 

Zaahir main to saans le raha tha 
Zinda tha baghir-e-zindagi main 

Chandai se badan pe tha andhera 
Uss chand se kitna door tha main 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...