Hawa jhukti nahin hai
Toot jaati hai
Kisi saahil pe gir kar
Baad'bano se ulajh kar
Baadalon main sar'saraati hai , kabhi baarish kay naghmay
Aur kabhi toofan kay rath par
Machalti bijliyon kay aks chunti hai
Kisi Aanchal par khul kar muskuraati hai
Dehaktay Aasmaan par chandani kay thanday thanday khwaab bunti hai
Rum her lafz main tehri
Koi lambi musaafat hai
Talooh-e-dasht main jo dhalti rehti hai
Azal kay sabz ru Aangan se lay kar
GEhray bhooray khwaab jaisay
Door Aftaada Abd tak chalti rehti hai
AKhin rukti nahin
HAwa jhukti nahin
BAs toot jaati hai
No comments:
Post a Comment