Mar 5, 2015

Her surat-e-haseen pe gumaan-e-tabeeb hai


Her surat-e-haseen pe gumaan-e-tabeeb hai
Saaqi meray marz ki tabiyat ajeeb hai

Rehta hai sa'sabeel kay daman main tishna'lab
Kehtay hain jis ko shaikh , bara bad'naseeb hai

Masti sharab main bhi hai . O mah'jabeen
Lakin teri nigah ki masti ajeeb hai

Ya Rab ! na daal shaikh ko dozakh ki aag main
Yeh Aadmi hamara purana raqeeb hai

Dil hi kay dard, is ki nahin kuch khabar Adam
Ek dard mustaqil hai keh dil kay qareeb hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...