Hijar ki shab ka kisi ism se katna mushkil
Chand poora hai to phir dard ka ghatna mushkil
Moja-e-khwaab hai woh , us kay thikanay maloom
Ab gaya hai to yeh samjho palatna mushkil
Jin darakhton ki jarrain dil main utar jaati hain
Un ka aandhi ki daraanti se bhi katna mushkil
Quwat-e-gham hai jo is tarah sambhalay hai mujhay
Warna bikhron kisi lamhay to sametna mushkil
Us se miltay huye chehray bhi bhout honay lagay
Shaher kay shaher se ik saath nimatna mushkil
Ab kay bhi khoshon pe kuch naam thay pehlay se likhay
Ab kay bhi fasal ka deh'kaano main batna mushkil
Parveen shakir
No comments:
Post a Comment