Jaagein gay kisi roz to is khawab -e-tarab se
Hum phool hi chuntay rahay , baghicha-e-shab se
Phir aik safar aur wohi harf-e-rafaqat
Samjhay thay guzar aayein hain hum , teri talab se
Khush dil hai agar koi to , kiya us ka yahan kaam
Yeh baargaah-e-gham hai , qadam rakho adab se
Ab mousam-e-jaan se bhi yaqeen uthnay laga hai
Dekha hai tujhay rang badaltay huwey jab se
Yahan bhi wohi begana rawi apni khuda si
Mangi jo kabhi koi dua shehar kay Rab se
Chonki hoon to dekha keh woh ham'raaz nahin hai
Uljhan main hoon kis baat pe kis mor pe , kab se
Yeh darkhor-e-hangama to pehlay bhi kahaan thi
Hol aayi magar aaj to veeran-e-shab se
Kuch dost bhi ziada masroof huwey aur kuch
Hum door hain , afsurdagi-e-dil kay sabab se
No comments:
Post a Comment