Jab tasawur mera chupkay se tujhay choo aaye
Apni her saans se mujh ko teri khushboo aaye
Mashgala ab hai mera chand ko taktay rehna
Raat bhar chain na mujh ko kisi pelu aaye
Jab kabhi gardish-e-doran ne sataya mujh ko
Meri janib teray phailay huye baazu aaye
Jab bhi socha keh shab-e-hijar na ho gi roshan
Mujh ko samjhanay teri yaad kay jugnoo aaye
Kitna hasaas meri Aas ka sanaata hai
Keh khamoshi bhi jahan baandh kay ghungaroo aaye
Mujh se milnay ko sar-e-shaam koi saaya sa
Teray aangan se chalay aur lab-e-ju aaye
Us kay lehjay ka asar to hai bari baat "Qateel"
Woh to aankhon se bhi karta huwa jaadu aaye
No comments:
Post a Comment