Mar 12, 2015

Jinhain chaha bhout hum ne magar apna nahin paye


Jinhain chaha bhout hum ne magar apna nahin paye
Bhout aankhon ne baarish ki mujhay woh yaad jab aaye 

BAray dawey thay hamein tum se juda ho kar bhi jee lain gay 
MAgar ik lamha bhar ki hum judai seh na paye 

MAin jin ki raah takta hoon na janay kitnay arsay se 
Koi un se zara poochye woh milnay kiyon nahin aaye 

NA janay kab se apnay aap ko hum to badal baithay 
YEh qismat kay sitaaray kiyon badalnay ko nahin aaye 

Ae qasid tum kaho un se woh larna chor dain hum se 
Woh jab se rooth baithay tab se hum bhi so nahin paye 

Khudaya shukar hai tera keh yaadon par nahin pehra 
Agar yaadon pe pehra ho to phir Aashiq kahan jaye 

Jo kehtay hain mohabbat kuch nahin hoti zamanay main 
Woh khud bhi to mohabbat kay bina kiyon reh nahin paye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...