Mar 18, 2015

Kahin woh milay to ussay kehna keh aa jaao


Kahin woh milay to ussay kehna keh aa jaao 
Aa jaao keh koi shiddat se 
Bari muddat se 
Bari mohabbat se 
Tumhara intizaar kar raha hai 
Aa jaao keh 
Kisi ki baatein 
Kisi ki yaadein 
Kisi ki raatein 
Tum bin bhout adhoori hain 
Aa jaao keh koi tum bin pal pal
Her pal 
Her aaj aur her kal tanha hai 
Aa jaao keh tumharay na honay se 
Kisi ki aankhon main nami 
Aur zindagi main kami bhout ziyada hai 
Kahin milay to ussay kehna keh aa jaao 
Bas ab aa jaao , , , !! 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...