Mar 12, 2015

Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon


Khawab nagar hai aankhein kholay dekh raha hoon 
Us ko apni jaanib aatay dekh raha hoon 

Kis ki Aahat qariya qariya phail rahi hai 
Dewaron kay rang badaltay dekh raha hoon 

Kon meray jaadu se bach kar jaa sakta hai 
Aaina hoon Sab kay chehray dekh raha hoon 

Darwaze par tez hawaon ka pehra hai 
Ghar kay andar chup kay saaye dekh raha hoon 

Jaisay mera chehra meray dushman ka ho 
Aainay main khud ko aisay dekh raha hoon 

Manzir manzir veerani ne jaal tany hain 
Gulshan sulshan bikhray pattay dekh raha hon

Manzil manzil hole main doobi awazein hain 
Rasta rasta khouf kay pehray dekh raha hoon 

Shaher-e-sang'dilan main "Amjad" her rastay par 
Awazon kay pathar chaltay dekh raha hoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...