Kitab kab tak rahay gi saada , kabhi to aaghaz-e-baab ho ga
Jinhon ne basti ujar dali , kabhi to un ka hisaab ho ga
Shaher ki khushiyan mana'nay walo , shaher kay tewar bata rahay hain
Abhi to itni ghutan barhay gi keh , saans lena bhi azaab ho ga
Woh din gaye keh jab her sitam ko , Ada-e-mehboob keh kar chup thay
Uthay gi hum par jab Eent koi , to pathar us ka jawaab ho ga
Sukoon-e-sehra main basnay walo , zara rutton ka mizaaj samjho
Jo aaj ka din sukoon se guzra , to kal ka mousam kharaab ho ga
Nahin keh yeh sirf shairy hai , ghazal main tareekh-e-behissi hai
Jo aaj shairon main keh diya hai , woh kal shareek-e-nisaab ho ga
No comments:
Post a Comment