Mar 19, 2015

Kiyon tu acha lagta hai waqat mila to sochain gay


Kiyon tu acha lagta hai waqat mila to sochain gay 
Tujh main kya kya dekha hai waqat mila to sochain gay 

Sara sheher shana'sai ka dawe'dar to hai lakin
Kon hamara apna hai waqat mila to sochain gay 

Hum ne us ko likha tha kuch milnay ki taqdeer karo
Us ne likh kar bhaiga hai waqat mila to sochein gay 

Mousam-e-khushboo baad-e-saba chand shafaq aur taaron main 
Kon tumharay jaisa hai waqat mila to sochein gay 

Ya to apnay dil ki maano ya phir duniya walon ki 
Mashwara us ka acha hai waqat mila to sochein gay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...