Koi kaanta meray dil main chubo jay to acha hai
Hamesha kay liye woh mujh se kho jaye to acha hai
Rakhein gay is tarah dhokay se kab tak khawab aankhon main
Jo hona kal hai woh sab aaj ho jaye to acha hai
Kabhi shaher-e-tamana se kabhi kisi ne phool paaye kya
Yeh titli soch kar kaanton pe so jaye to acha hai
Kai din se meray ghar kay dar-o-dewaar hain veeran
Kisi kay wasal ki baarish ho jaye to acha hai
Main pathar ho gaya hoon gham se aisa reh nahin sakta
Agar baarish mera chehra bhigoo jaye to acha hai
Yeh maana hijratein is gaaon se zaroori hain
Meri basti meray andar samoo jaye to acha hai
Main ab kay chehta hoon yeh keh is sawan jo baarish ho
Puranay mousamon kay rang dho jaye to acha hai
Bhanwar se bheek maangay ga ? teri fitrat nahin sahir
Tu kashti aap hi apni daboo jaye to acha hai
No comments:
Post a Comment