Na wal'walay woh rahay aur na woh zamana raha
Samaa hayaat ka lakin sadaa sohaana raha
Ghazal haraam hui , husn pe lagay pehray
Mera mizaaj magar phir bhi shairaana raha
Khuda bhi maan liya , bandagi bhi ki us ki
Taaluq us se magar apna gaayebana raha
Likha huwa tha meri maazi jis kay tinkon par
Meri uraan main hayal woh Aashiyaana raha
Paron kay dhair lagay hain wahan wahan ab bhi
Jahan jahan kisi panchi ka Aashiyaana raha
Kahin kahin koi raahat , kahin kahin koi zakham
Meray naseeb ka manzar wohi puraana raha
Qateel tark-e-maraasim woh kar gaya phir bhi
Salook us ka meray saath dostaana raha
No comments:
Post a Comment