Mar 5, 2015

Nazar main zulmat badan main thandak jamal kitna ajeeb sa tha


Nazar main zulmat badan main thandak jamal kitna ajeeb sa tha 

Main us ki chahat main ghar se nikla , to haal kitna ajeeb sa tha

Na main ne ussay khatoot likhye , na us ne meri panah chahi 

Dono ko apni be'khudi pe , malaal kitna ajeeb sa tha 

Woh apni raaton main chaand dekhye , Main apni raaton main us ko sochon

Badaltay lamhon main  soch ka yeh , Wisaal kitna ajeeb sa tha

Zindagi akelay hi kaat lo main ne poocha to ro diya woh 

Sawal kitna ajeeb sa tha , jawab kitna ajeeb sa tha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...