Mar 29, 2015

Nishani koi to ab kay safar ki ghar lana


Nishani koi to ab kay safar ki ghar lana
Thakan paaon ki aur titliyon kay par lana 

Main likh raha hoon kahani teri rafaqat ki
Jo ho sakay to koi harf-e-moh'tabar lana 

Yehi na ho keh musal'sal wafa thaka daalay 
Mohabbaton main naya pan talaash kar lana 

Safar kay shouq main chal to paray ho tum ghar se 
Dukhon ki gard se daman na apna bhar lana 

Ko Koh-e-kaaf chalay ho to chaand chehron ka 
Mujasma koi acha talaash kar lana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...