Ghazal
Paro diye meray Aansoo hawa ne shaakhon main
Bharam bahaar ka baaqi rahay nigahon main
Saba to kiya keh mujhay dhoop tak jaga na saki
KAhan ki neend utar aayi hai in aankhon main
Kuch itni tez hai surkhi keh dil dharakta hai
Kuch aur rang pas-e-rang hai gulaabon main
Supurdagi ka nasha tootnay nahin paata
Anaa samai hui hai wafa ki baanhon main
Badan pe girti chali jaa rahi hai khwaab si barf
Khunak supaidi ghulli jaa rahi hai saanson main
No comments:
Post a Comment