Phir bhi bethi hai khizaan baagh ki dewaar kay saath
JAb keh patta bhi nahin hai koi ashjaar kay saath
Aik hai meri anaa, Aik anaa kis ki hai
Kis ne dewaar bana di meri dewaar kay saath
Tum baray log ho seedhay hi guzar jaatay ho
Warna kuch tang si galiyaan bhi hain bazar kay saath
Mustaqil dard ka soda hai zara narmi se
Kuch riayat bhi to kartay hain kharidaar kay saath
MAin ne pehchaan liya door se ghar tera hai
Phool liptay huye dekhye jahan dewaar kay saath
No comments:
Post a Comment