Qissa-e-hijar agar tujh ko sunanay lag jayein
Jaan-e-jaan umar nahin is main zamanay lag jayein
Main ne is khouf se gham tujh se chupaye apnay
Meray Aansoo teri aankhon se na aanay lag jayein
Kaash aisa ho kabhi kuch na kahoon tujh se
Meri aankhein hi ehwaal batanay lag jayein
Rat'jagay khilnay lagay phir se meri neendon main
Rog mujh ko na kahin phir se puranay lag jayein
Aisay Aalam main tujhay bhoolna mumkin hai
Keh jab saray mousam hi teri yaad dilaanay lag jayein
Ae dil-e-ishq'zaada mujh ko tujh se shikayat kaisi ?
Jab meray khawaab hi khud mujh ko jalanay lag jayein
No comments:
Post a Comment