Raat akaash par ghatta thi bhout
Chaand aankhon main aa gaya logo
Us ne dukh sukh hazaar keh daalay
Mujh se kuch na kaha gaya logo
Keh raha tha keh dard ne mujh ko
Sakhat pathar bana diya kab ka
Jheel aankhon ne Orh kar kaai
Mujh ko ghar bana diya kab ka
Keh raha tha keh ab mera sagar
Meri jaanib kashish nahin karta
Dukh ki hairat main doobi kirno ko
Apni baanhon main ab nahin bharna
Keh raha tha keh ab meri kirnein
Be'ghar ka azaab sehti hain
Orhay kaali ghatta sisakti hai
Wasal rut ko sairaab kehti hai
Keh raha tha keh aasmaan dil ka
Shab ka aalma hai gham ki sill jaisa
Subha ka chehra zard hota hai
Main ne chup chaap
Saray dukh sun kar
Apnay sar ko jhuka diya logo
Aankh se behtay sill dard kay saath
Chand ko bhi baha diya logo
Apna sapna mitta diya logo
Chand main ne baha diya logo
No comments:
Post a Comment