Mar 25, 2015

Roshni ki dhaar par likhay kahani aur dukh


Roshni ki dhaar par likhay kahani aur dukh 
Aankh se behta hua khamosh pani aur dukh 

Meray kamray main ussi tarteeb se rakhye huwe 
Phool khatt waday dilasay ik jawani aur dukh 

Ek doojay se bichar kar umar bhar rotay rahay 
Raat sehraa khushk pattay ek raani aur dukh 

Ab meray lafzon main woh pehlay si kefiyat nahin 
Daal ab bhi jholi main teri meharbani aur dukh 

Raat sehraa main kisi ne bansuri ki hook par 
Rakh dain phir roti huwi yaadein purani aur dukh 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...