Sada apni rawish Ehal-e-zamana yaad rakhtay hain
Haqeeqat bhool jaatay hain fasaana yaad rakhtay hain
Hajoom apni jaga tareek jungal kay darakhton ka
Parinda phir bhi shaakh-e-ashiyaana yaad rakhtay hain
Hamein andaaza rehta hai hamesha dost dushman ka
Nishaani yaad rakhtay hain , nishana yaad rakhtay hain
Hamari simat aik moj-e-turaab aayi to yaad aaya
Keh kuch mousam hamein bhi ghaibaana yaad rakhtay hain
Hum insaano se to yeh sang-o-kkasht-o-baam-o-dar achay
Musaffir kab hua ghar se rawaana yaad rakhtay hain
No comments:
Post a Comment