Sambhala hai hosh jab se muqaddar sakht tar nikla
Para hai waasta jis se wohi teer-o-tabar nikla
Sabaq deta raha umar bhar jo roshan khayali ka
Ussay bhi jab paas se dekha to tang nazar nikla
Samjh kar zindagi jis se mohabbat kar rahay thay hum
Ussay jab choo kar dekha to faqat khaaki bashar nikla
Mohabbat ka khumaar utra to sabit huwa "Mohsin"
Jissay hum umar samjh rahay thay faqat be'maqsad safar nikla
No comments:
Post a Comment