Mar 18, 2015

Sar-e-raah para hua hoon main pathron ki tarah


Sar-e-raah para hua hoon main pathron ki tarah 
Koi taraash de mujh ko bhi moorton ki tarah 

Woh iltifaat hai baaqi na woh karam ki nazar 
Tera mizaaj bhi badla mousamon ki tarah 

Woh jin se mil kay utar'ti thi roshni dil main 
Gharoob ho gaye woh log surajon ki tarah 

Ba ehtiyaat karein un se guftagoo lakin 
Hamaray dil bhi to nazuk hain Aayino ki tarah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...