Mar 25, 2015

Shakist dil ki hui , taar zehan kay tootay


Shakist dil ki hui , taar zehan kay tootay 
Hayaat to rahi , naatay hayat se tootay 

Para jo farq , teray zarf pe para ho ga 
Hamara kya hai khilonay thay hum , banay , tootay

Yeh kis kay haath main tha dor sa wajood apna 
Kabhi sirray se , kabhi darmiyaan se tootay 

Main neend main hi sahi jaag to raha tha aakhir
Khulli jo aankh to khawabon kay sil'silay tootay 

Woh ik baat bhi kitnay rukhon se karta hai 
Keh baarha meri nazar kay zawiye tootay

Saahil na janay "Muzaffar" se zarb-e-tanhaai
Ajab nahin keh yeh sheesha paray paray tootay 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...