Shamil tha yeh sitam bhi kisi nisaab main
Titli mili hanoot purani kitaab main
Dekhon ga kis tarah se kisi ko azaad main
Sab kay gunnah daal de meray hisaab main
Phir be'wafa ko behr-e-mohabbat samjh liya
Phir dil ki naao doob gayi hai saraab main
Pehlay gulaab us main dikhai diya mujhay
Ab woh mujhya dikai diya hai gulaab main
Woh rang-e-Aarasheen , woh dehakta hua shabaab
Chehray ne jaisay aag laga di naqaab main
Baarish ne apnay aks kahin dekhna na ho
Kiyon aainay ubharnay lagay hain habaab main
Gardish ki teziyon ne ussay noor kar diya
Matti chamak rahi hai yehi aftaab main
Us sang'dil ko main ne pukaara to tha "Adeem"
Apni sada hi loat kar aayi jawaab main
No comments:
Post a Comment