Sulah karna to ik bahana tha
Go keh andaaz qaatlana tha
Jaan se guzray to bhaid yeh paya
Woh haqeeqat nahin fasana tha
Waqat guzra hai aik aisa bhi
Saya-e-zaat jab baigaana tha
Uss ki manzar kashi pe hairaan hoon
Kya ta'aruf woh ghaibaana tha
Dil sulagta tha soz-e-hijran main
Na'rasa uss ka shaaksana tha
Ranjishein aur barh gayi hon gi
Dushman-e-jaan mera zamana tha
Parh kay roya kalam-e-Arif ko
Aik aik harf Arfana tha
No comments:
Post a Comment