Suno main thak gaya hoon
Suno !
Main thak gaya hoon
Meri palkon pe ab tak kuch adhooray khwaab jaltay hain
Meri neendon main teray wasal ka resham ulajhta hai
Meray aansoo meray chehray pe teray gham ko likhtay hain
Meray andar kai sadiyon kay sanaaton ka daira hai
Meray alfaaz baanhein waa kiye mujh ko bulaatay hain
Magar main thak gaya hoon
Aur main ne khamoshi ki goad main sar rakh diya hai
Aur baalon main tumharay hijar ki narm ungliyaan mehsoos kar raha hoon
Meri palkon pe jaltay khwaab hain ab raakh ki surat
Tumharay wasal ka resham bhi ab neendain nahin bantein
Meri aankhon main jaisay thar kay mousam ka baseera hai
Mujhay andar kay sanaaton main gehri neend aayi hai
Suno !
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay de
Poet :~ Atif Saeed
No comments:
Post a Comment