Mar 9, 2015

Teray harf-o-Lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya


Teray harf-o-Lab ka talism tha , meri aab-o-taab main reh gaya 
Woh kisi gulaab ka jism tha jo meri kitaab main reh gaya  

Meri baat baat main roshni , meray harf harf main dil'kashi 
Tu meri shareek-e-wisal-e-jan , meri her kitaab main reh gaya 

Koi phool ban kay bikhar gaya , koi baat ban kay bigar gaya 
Na sawal koi labon pe hai , na gila jawaab main reh gaya 

Tujhay kya bataein keh kya hua , woh saroor-e-raqs-e-wafa gaya 
NA gunnah main rahi baat woh , Na maza sawaab main reh gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...