Mar 9, 2015

Tum ho , Raqeeb saath ho , Phir raat ka safar


Tum ho , Raqeeb saath ho , Phir raat ka safar 
Hai wadi-e-yaqeen main shubhaat ka safar 

Mumkin agar ho dost ! Qayamat se kam nahin 
Karna khird kay dosh pe jazbaat ka safar 

Hum to kisi kay aankh kay taaray , na mahtaab 
Phir kar rahay hain kiyon , hamein din raat ka safar 

Itna taweel keh umar bhar teh na ho saka 
Seenay se lay kay hont aik aik baat ka safar 

Wapis huye , to apna bhi pehchaanana mohaal
Hum ne kiya tha dosto ! jab zaat ka safar 

Jalta hai apni zaat main , roshan hai is liye 
Yeh kehkashaan kay naam se zaraat ka safar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...