Mar 21, 2015

Un kay aanay ka hai imkaan Khuda khair karay


Un kay aanay ka hai imkaan Khuda khair karay 
Dil pe guzray ga yeh toofan Khuda khair karay 

Woh to hain oonchay mehlon kay rehnay walay 
Aur mera ghar biya'baan Khuda khair karay 

Un ka kehna hai keh mehfil main uthein gay naqaab 
Mera kho jaye na Emaan Khuda khair karay 

Woh yeh kehtay hain is baar judai ho gi 
Main yeh kehta hoon meri jaan Khuda khair karay 

Main ne maangi hai wafa aur wafa kay badlay 
Uss ne maangi hai meri jaan Khuda khair karay  


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...