Mar 28, 2015

Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta


Us ki juz buz se parishaan nahin ho sakta 
Dil agar dil hai to halkaan nahin ho sakta 

Yaad us ki hai to bar'baad nahin ho sakti
Zehan mera hai to be'dhiyaan nahon ho sakta 

Kis qanaa'at se raha ghar meray aa kar mehmaan
Yeh koi aur hai mehmaan nahin ho sakta

Mera jo haal hua dil kay hawalay se hua 
Dil bhi aisa jo pashemaan nahin ho sakta 

Main ne ik shakhs se khamosh mohabbat ki hai 
Yehni hum dono ka nuqsaan nahin ho sakta 

Kaar-e-dushwaar nimet'ta nahin jab tak Mohsin 
Doosra kaam bhi asaan nahin ho sakta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...