Mar 9, 2015

Uss kay aanay ki khabar suntay hi tayari ki


Uss kay aanay ki khabar suntay hi tayari ki 
Main ne jee bhar kay gulaabon ki kharidaari ki 

Haalat-e-hijar main  filhaal sakoon milnay laga 
Nasha-e-dard ne awaz nahin bahaari ki 

Ishq main mera bhi dewaangi maslak hai yahan 
MAin ne is wastay majnoo ki taraf'daari ki 

Warna yeh log mujhay tujh se juda kar detay 
MAin ne danasta mohabbat main adakaari ki 

Phool khiltay hi koi bichra hua yaad aaya 
Main khush honay kay mousam main azadaari ki

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...