Utaar lafzon ka ik zakheerah nazar ko taza khayal de day
Khud apni shohrat pe rashk aaye nazar ko aisa kamaal de day
Sitaray taskheer karnay wala , paroshiyon se be'khabar hai
Agar yahi hai urooj-e-aadam to phir tu hamein zawaal de day
Teri taraf se jawaab aaye na aaye parwah nahin hai is ki
Yeh hi bhout hai hum ko ya'rab tu sirf Azn-e-sawaal de day
Hamari aankhon se ashk tapkein labon pe muskaan dorti hai
Jo hum ne pehlay kabhi na paya tu ab kay aisa malaal de day
KAbhi tumharay qareeb reh kar bhi dooriyon kay azaab jhailain
Kabhi kabhi yeh tumhari furqat hai , hum ko lutf-o-malaal de day
No comments:
Post a Comment