Woh aadat hai to aadat se kinara ho bhi sakta hai
Magar is saari koshish main khasara ho bhi sakta hai
Rahein gay saath phir bhi hum , mohabbat mar gayi kya gham
Keh masnoee tanaffus pe guzara ho bhi sakta hai
Agar aankhein na bhar aayein , to dil mutthi main aa jaye
Hua hai haal jo mera , tumhara ho bhi sakta hai
Khulli aankhon main thehra khwaab , kaisay toot sakta hai
Gumaan yeh zindagi bhar ka sahara ho bhi sakta hai
Jo itni jag'magahat dekhtay ho Aas paas apnay
YEh meri aankh se toota sitaara ho bhi sakta hai
Hamein hairat se mat dekho , ab aisa kya , kiya hum ne ?
Zameeni ishq hai , doobara ho bhi sakta hai
No comments:
Post a Comment