Mar 25, 2015

Woh hi dar'paish hai phir zindagi khawabon khayalon ki


Woh hi dar'paish hai phir zindagi khawabon khayalon ki 
Kahan hai ab tumhari woh mohabbat itnay saalon ki 

Agar meray muqaddar main andhera hi andhera tha
Kahani kiyon sunaai thi mujhay tum ne ujaalon ki 

Bara hai farq dono main magar dil'chasp hain dono
Teri duniya jawabon ki meri duniya sawalon ki 

Tumhain jab se main likhta hoon tumhain jab se main parhta hoon 
Zaroorat hi nahin parti kitabon kay hawalon ki 

Taaluq jorna aur torna tum se koi seekhay
Kahan se aa gayi tum ko hahaarat aisi chaalon ki 

Shagufta dil ko rakha hai faqat is wastay main ne 
Zaroorat phir na par jaye tumhein meri misaalon ki 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...