Woh jo mehav thay sar-e-aaina
Pas-e-Aaina bhi to dekhtay
KAbhi roshni se woh
Tairagi ko chupa hua bhi to dekhtay
Sar-e-aab jo raha tishna lab
To yeh zabat-e-gham ki hai intiha
Meray haal par thay jo nukta cheen
Mera hosla bhi to dekhtay
Woh utar gaye thay jo paar khud
Mujhay beech lehron main chor kar
Tha jo un main itna hi hosla
Mujhay doobta bhi to dekhtay
Jinhain mujh se hai yehh gila keh
Main raha be'niyaaz-e-khaloos-o-rabt
Meray gird rasm-o-riwaaj ka
Kabhi da'ira bhi to dekhtay
No comments:
Post a Comment