Mar 13, 2015

Woh meri ghazal saraai woh kisi ka muskuraana


Woh meri ghazal saraai woh kisi ka muskuraana 
Woh zara tehar kay khud hi koi shair gun'gunaana 

Shab-e-maah-o-mousam-e-gul , woh kinaar-e-ju woh khilwat 
Woh hajoom-e-kaif-o-masti woh fasana dar fasana 

Tujhay yaad agar na ho to , tujhay yaad main dila doon 
Mujhay yaad hai woh sab kuch , woh maqaam woh zamana 

Woh naye naye se jazbay , woh nayi nayi si her shay 
Woh nayi nayi umang'ein , woh naya naya zamana 

Woh ghataein umadti umadti , woh hawaein mehki mehki 
Woh nigahein behki behki , woh adaein walehaana 

Woh shakist-e-Azm-o-himmat , woh ghroor-e-fatah-o-nusrat 
Woh saroor-e-dard mandi , woh nishaat-e-dilbaraana 

Teray sang-e-gham ne tora meray sheesha-e-khudi ko 
Mera dil tha toba toba , keh khuda-e-be'zamana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...